Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

~*shery {khamosh}*~

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: ~*shery {khamosh}*~

    Habs-e-Duniya Say Guzar Jatey Hein ..!!
    Aaisa Kartey Hein Keh Marr Jatey Hein ..!!

    Kaisay Hotey Hein Bicharnay Walay..??
    Hum Yea Sochein Bhi Toa Darr Jatey Hein ..!!

    Dil Jo Tootey Toa Sar-e-Mehfil Bhi..!!
    Baaal Be-Waja Bikhar Jatey Hein ..!!

    Ab Na Dekho Meri Banjar Aankhein..!!
    Chartey Daryaa Toa Uther Jatey Hein ..!!

    Dhoop Ka Roop Rachaney Walay...!!
    Shaam Ko Aur Nikhar Jatey Hein ..!!

    Ab Na Murr Murr Kay Pukaroo Unko..!!
    Log Rastay Mein Taher Jatey Hein ..!!

    Khaali Damann Say Shikayat Kaisi...??
    Aashk Ankhon Mein Toa Barh Jatey Hein ..!!

    Tum Kahan Jao Gay Socho Mohsin ..??
    Log Thakk Haar Kay Ghar Jatey Hein .......!!



    *~SHERY*~*KHAMOSH~*
    ~~~~~LOVE~IS~A~PART~OF~LIFE~NOT~LIFE~~~~~

    Comment


    • #17
      Re: ~*shery {khamosh}*~

      Teri Chahat Me Hum Zamana Bhool GayE,,,
      Tere Baad Kisi ko Apnana Bhool GayE,,,

      Pir Laga Sara Jahan Weeran Hum Ko,,,
      Jese Chaman Me Phool Mehknaa Bhool GayE,,,

      Tumse Mohabbat hai bata Sare jahan Ko,,,
      Yeh baat Tum Ko Batana Bhool GayE,,,

      Hum ne Mita Diya Jahan bhi Likha Tha Naam Tera,,,
      Magar Apne Dil Se Tera Naam mitana Bhool GayE,,,

      Wo Juda Hue Humse Muskurate Hue SHERY,,,
      Magar Apni Palkon se Aansu hatana Wo bhool gayE..


      *~SHERY*~*KHAMOSH~*
      ~~~~~LOVE~IS~A~PART~OF~LIFE~NOT~LIFE~~~~~

      Comment


      • #18
        Re: ~*shery {khamosh}*~

        ....."DISAMBR LOUT AAYA HAI".....

        Tmharay lout anay ki nai umed jagi ha,
        Abhe pichlay baras tm ne mere hatho pe rkh k hath,
        Hya se mounh chupaya tha,
        Abhe pichlay baras he to dismbar k mahenay ma,
        Tmhain banho'n ma thama tha,
        Or april anay tk tmhari jheel ankho main,
        Naya sapna sjaya tha,
        Mere chotay se angan ma,
        Tmhain vehshat si hoti the,
        Mjy tm ne btaya tha,
        Kisi ki qaid ma rehna,
        Mjy acha nhe lgta,
        Main ek azad panchi ho,
        Suna ha phr se tanha ho,
        September k mahenay se bht khamosh rehtay ho,
        K jisko tm ne chaha tha,
        Wafa k naam se usko bht vehshat se hoti the,
        Wo ek azad panchi tha,
        Kisi ki qaid ma rehna,
        Usy acha nhe lgta,
        Suna ha mere angan ki,
        Tmhain ab yad ati ha,
        Suna ha tm pashema'n ho,
        Chlo phr esa krte ha,
        Dismbr ka mahina ha,
        Nya agaz krty ha,
        Tmhain banho'n ma le lo ma,
        Mere sene pe sir rkh k,
        Haya se mounh chupa lo tm,
        ........"DISAMBR LOUT AAYA HAI". . . . . !


        SHERY {KHAMOSH}
        ~~~~~LOVE~IS~A~PART~OF~LIFE~NOT~LIFE~~~~~

        Comment


        • #19
          Re: ~*shery {khamosh}*~

          Us ko ankhon k dareechey sey juda kaisey karon..!!?

          Wo to meri zaat k har pehlu sey byaan hota hai....


          SHERY {KHAMOSH}
          ~~~~~LOVE~IS~A~PART~OF~LIFE~NOT~LIFE~~~~~

          Comment


          • #20
            Re: ~*shery {khamosh}*~

            Baat bnti hai mgr koi bnaye to sahi,

            Hum ko ek bar koi Dil may bsaye to sahi,

            Hum bata denge Mohabat ki haqeeqt kya hai,

            Koi ek bar wafa kr k dikhaye to sahi...!


            SHERY {KHAMOSH}
            ~~~~~LOVE~IS~A~PART~OF~LIFE~NOT~LIFE~~~~~

            Comment


            • #21
              Re: ~*shery {khamosh}*~

              Dhoondnay jis may zindagi nikli,
              Wo usi shakhs ki gali nikli,

              Teray lehjay may kia nahi tha magar,
              Sirf sach ki zara kami nikli,

              Us ki aankhon ka rang gehra hay,
              Aur may halki sanwli nikli,

              Wo jo lagti thi kanch ki gurya,
              Zarb parnay say aahni nikli,

              Us haveli may shaam dhalnay par,
              Har dareechay say roshni nikli,

              Wo hawa tau nahi thi larki thi,
              Kis liye itni sar phiri nikli,

              Wo teray aasman ka kia karti,
              Jis ki muthi say dosti nikli,

              Umar pardah nasheen nahi hoti,
              Jab dhali sar say'chandni nikli.


              SHERY {KHAMOSH}
              ~~~~~LOVE~IS~A~PART~OF~LIFE~NOT~LIFE~~~~~

              Comment


              • #22
                Re: ~*shery {khamosh}*~

                Lafzon ki tamheed mujhe baandhni nahi aati...

                Hum tum ko yaad kertay hein seedhi si baat hai...!!!


                SHERY {KHAMOSH}
                ~~~~~LOVE~IS~A~PART~OF~LIFE~NOT~LIFE~~~~~

                Comment


                • #23
                  Re: ~*shery {khamosh}*~

                  Khwab posh aankhon main, Aansoun ka Bhar jana...

                  Hasr'ton k sahil per, **'liyon ka Marr jana...

                  Habss ki hawaoun main Khushboun ka Darr jana...

                  Dil k garm sehra main Hashr hi Bapa hona...

                  Dard e la-dawa Hona...

                  Kya bohat zururi hai...

                  Ab tera juda Hona...???


                  SHERY {KHAMOSH}
                  ~~~~~LOVE~IS~A~PART~OF~LIFE~NOT~LIFE~~~~~

                  Comment


                  • #24
                    Re: ~*shery {khamosh}*~

                    Hawa k jhonkon ka Hisab kya karna,

                    Jo beet gaya ab usay Yaad kya karna,

                    Bus yeh soch kar Muskura deye hum,

                    Apni udasi say dosron ko Udas kya karna...


                    SHERY {KHAMOSH}
                    ~~~~~LOVE~IS~A~PART~OF~LIFE~NOT~LIFE~~~~~

                    Comment


                    • #25
                      Re: ~*shery {khamosh}*~

                      Hmari hasti mita rahe ho, tumhari marzi...
                      Nishan-e-ibrat bana rahe ho, tumhari marzi...

                      Mere jigar mai jafa k khanjer utaar kar tum...
                      Wafa k naghme suna rahe ho, Tumhari marzi...

                      Tumhari khatir jo sari dunia ko chhor aaya...
                      Usi se daman chhura rahe ho, Tumhari marzi...

                      Meri umeedon k ashiyanay uj'jar kar tum...
                      Kisi ki dunia basa rahe ho, Tumhari marzi...

                      Tumhara deedar ek bahisht~e~nazr hai lekin...
                      Tum apna chehra chupa rahe ho, Tumhari marzi...


                      SHERY {KHAMOSH}
                      ~~~~~LOVE~IS~A~PART~OF~LIFE~NOT~LIFE~~~~~

                      Comment


                      • #26
                        Re: ~*shery {khamosh}*~



                        SHERY {KHAMOSH}
                        ~~~~~LOVE~IS~A~PART~OF~LIFE~NOT~LIFE~~~~~

                        Comment


                        • #27
                          Re: ~*shery {khamosh}*~

                          Jalwa dikha k us ne deewana kar diya,

                          Khud shama ban gae muje parwana kar diya,

                          Kya pochte ho muj se mere pas kuch nhi,

                          Ek Dil tha wo be un ko nazrana kar diya.


                          SHERY {KHAMOSH}
                          ~~~~~LOVE~IS~A~PART~OF~LIFE~NOT~LIFE~~~~~

                          Comment


                          • #28
                            Re: ~*shery {khamosh}*~

                            Kabhi Gham Ki Aag Main Jal Uthe,
                            Kabhi Dil Ka Dagh Jala Diya,

                            Ay Junoon-E-Ishq Bata Zara,
                            Muje Q Tamasha Bana Diya,

                            Gham-E-Ishq Kitna Ajeeb Hai,
                            Yeh Junoon Se Kitna Qareeb Hai,

                            Kabhi Ashk Palkoon Pe Ruk Gaye,
                            Kabhi Poora Darya Baha Diya,

                            Jahan Us K Naqsh-E-Qadam Mile,
                            Wahin naqsh tera Main Ne Bana Diya..


                            SHERY {KHAMOSH}
                            ~~~~~LOVE~IS~A~PART~OF~LIFE~NOT~LIFE~~~~~

                            Comment


                            • #29
                              Re: ~*shery {khamosh}*~

                              Kesa maftooh sa manzar hai kai sadion say,
                              Mere qadmon pe mera sar hai kai sadion say,

                              Khof rehta hai k sailaab na lay jaye kahee'n,
                              Mere palko'n pe tera ghar hai kai sadion say,

                              Us k pani mein b pehlay sa woh thehrao nahi,
                              Ye jo bechain samander hai kai sadion say,

                              Ashk aankhon mein sulgtay howe so jatay hain,
                              Yeh meri aankh jo banjar hai kai sadion say,

                              Kon kehta hai mulaqat meri aaj ki hai,
                              Tu meri rooh k ander hai kai sadion say,

                              Yeh mujhe sans bhi khul ke nahi lenay daita,
                              Meri sheh rag pe jo khanjar hai kai sadion say,

                              Mein ne jiss k liye her shakhs ko naraz kiya,
                              Rotth jaye na yahi darr hai kai sadio'n say,

                              Uss ki aadat hai jarhain kaatthe rehnay ki WASI,
                              Jo meri zaat ka mehwar hai kai sadion say...


                              SHERY {KHAMOSH}
                              ~~~~~LOVE~IS~A~PART~OF~LIFE~NOT~LIFE~~~~~

                              Comment


                              • #30
                                Re: ~*shery {khamosh}*~

                                Mein Zindgi Se Mayoos Nahi lekin,

                                Jab us ne Mujh se Pocha k,

                                Tumhare Nazdek kya hai Aehm,

                                "Meri Zindgi"

                                Ya
                                "Tumhari Zindgi"?


                                Mein ne Kaha k

                                "MERI ZINDGI"

                                Ye sun kar wo mujh se bohat door chali gayi,

                                Ye b na socha k wohi to hai,

                                "MERI ZINDGI"


                                SHERY {KHAMOSH}
                                ~~~~~LOVE~IS~A~PART~OF~LIFE~NOT~LIFE~~~~~

                                Comment

                                Working...
                                X